Purani Jeans (Rock 007)

Puraani jeans aur guitar
Muhalle ki wo chhat aur mere yaar
Wo raaton ko jaagna
Subah ghar jaana kudke deewaar

Wo cigarette peena gali mein jaake
Wo karna daanton ko ghadi-ghadi saaf
Pahunchna college hamesha late
Wo kehna sir ka "Get out from the class"

Wo baahar jaake hamesha kehna
"Yahaan ka system hi hai kharaab"
Wo jaake canteen mein table bajaake
Wo gaane gaana yaaron ke saath

Bas yaadein (yaadein), yaadein (yaadein)
Yaadein reh jaati hain
Chhoti (chhoti), chhoti (chhoti) baatein reh jaati hain
Bas yaadein (yaadein)

Wo papa ka daantna
Wo kehna mummy ka, "Chhodein ji aap
Tumhein to bas nazar aata hai
Jahaan mein beta mera hi kharaab"

Wo dil mein sochna, "Karke kuch dikha dein"
Wo karna planning roz nayi, yaar
Ladakpan ka wo pehla pyaar
Wo likhna haathon pe "A + R"

Wo khidki se jhaankna
Wo likhna letter unhein bar-bar
Wo dena tohfe mein sone ki baaliyaan
Wo lena doston se paise udhaar

Bas yaadein (yaadein), yaadein (yaadein)
Yaadein reh jaati hain
Chhoti (chhoti), chhoti (chhoti) baatein reh jaati hain
Bas yaadein (yaadein)

Aisa yaadon ka mausam chala
Bhoolta hi nahin dil mera, haan

Kahaan meri jeans aur guitar?
Muhalle ki wo chhat aur mere yaar?
Wo raaton ko jaagna
Subah ghar jaana kudke deewaar?

Puraani jeans aur guitar
Muhalle ki wo chhat aur mere yaar



Credits
Writer(s): Ali Haider, Nasir Kazmi, Arshad Mahmud, John Mall
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link