Aandhiyaan

aandhiyaan aati thi lekin kabhi aisa na hua
kauf k maare juda shaakh se patta na hua
aandhiyaan aati thi lekin kabhi aisa na hua
aandhiyaan aati thi
waqt ki dor ko thaame rahe mazbuti se
aur jab chooti to afsos bhi iska na hua
aandhiyaan aati thi
raat ko din se milane ki hawas thi humko
kaam acha na tha, anjaam bhi acha na hua
aandhiyaan aati thi
khoob duniya hai k suraj se rakaabat thi jinhe
unko haasil kisi deewar ka saaya na hua
aandhiyaan aati thi lekin kabhi aisa na hua
kauf k maare juda shaakh se patta na hua
aandhiyaan aati thi



Credits
Writer(s): Hariharan Anantha Subramani, Tahir Faraaz, Wali Arsi, Munavar Masoom, Kaif Bhupali, Muzafir Warsi, Shaharyar, Kaizer-ul-zafari
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link