Yeh Hum Aa Gaye Hain Kahaan

Lehraati huyi raahein, khole huye hain baahein
Yeh hum aa gaye hain kahaan?
Palkon pe gehre-halke hain reshmi dhundhal ke
Yeh hum aa gaye hain kahaan?
Haan, yeh hum aa gaye hain kahaan?

Woh dekho zara, parbaton pe ghatayein
Humari dastaan haule se sunayein
Suno toh zara, yeh phoolon ki waadi
Humari hi koi kahani hai sunati

Sapnon ke iss nagar mein, yaadon ki rehguzar mein
Yeh hum aa gaye hain kahaan?
Haan, yeh hum aa gaye hain kahaan?

Jo raahon mein hai rut ne sona bikhera
Sunehra hua tera-mera savera
Zameen so gayi barf ki chaadaron mein
Bas ek aag si jalti hai do dilon mein

Hawayein sansanayein, badan kaanp jaaye
Yeh hum aa gaye hain kahaan?
Haan, yeh hum aa gaye hain kahaan?

Yeh barsaat bhi kab thame, kaun jaane
Tumhein mil gaye pyaar ke sau bahane
Sitaaron ki hai jaise baaraat aayi
Humare liye raat yoon jagmagayi

Sapne bhi jhilmilayein, dil mein diye jalayein
Yeh hum aa gaye hain kahaan?
Haan, yeh hum aa gaye hain kahaan?
Haan, yeh hum aa gaye hain kahaan?



Credits
Writer(s): Javed Akhtar, Madan Mohan
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link