Meri Sakina

siyah raat mai zinda k dar p ro ro k
sakina kehti h baba yai shab satati h
judai apki us pr yai khak ka bistar
kahi andhairai mai bacho ko neend ati h

yai sun k zainab e mazloom boli
ghum na kro kahani kehti hu mai ek
suno sakina suno

sakina kahani suno
sakina kahani suno

ek shahanshah tha hayai sakina
ek shahanshah tha yasrab mai raha krta tha
uska ghar wo tha k quran jaha utra tha
dar p jibrael sa darban rha krta tha
uska angan b sitaro sai bhara rehta tha
uskai darawazai sai khali na koi jata tha
asaman us ki sakhawat ki qasam khata tha
ha sakina kahani suno
ha sakina kahani suno

us k baba ko dar e ilm kaha jata tha
maa nai shezadi e qonen laqab paya tha
us k baito mai nazar aks e nabi ata tha
baition ko gul e pakeeza kha jata tha
us k ik bhai k rag rag mai wafa behti the
ik behn sath mai sayai ki tarha rehti the
ha sakina kahani suno
ha sakina kahani suno

aik din kia hua hayai sakina
ek din kya hua wo ghar sai safar pr nikla
us ka sab qunba b quran ki hifazat ko chala
ashkiya nai usai phir dasht e bala mai ghaira
teen din taq usai pani b mayasar na hua
ho gyi aam har ik joro jafa us k liai
or phir jang ka maidan saja us k liai

ha sakina kahani suno
ha sakina kahani suno

us k ik betai k seenai mai sina toot gyi
bhai k hath katai teer laga mashq chidi
lash pamal bhateejai ki b maqtal mai hui
bezuban qatl hua khasta churi us p chali
us shehnshah k qunbai p ghareebi chai
bhujh gayai sarai diyai sham e ghareba ayi

ha sakina kahani suno
ha sakina kahani suno

khaimai jalnai lagai nazdeek sitamgar ayai
us shehnshah ki bachi nai tamachai khayai
kan zakhmi huai khun ankhon sai tapka hayai
dhundhnai baap ko maqtal mai wo kaisai jayai
jaltai daman ko liai gang e shahida mai gyi
rasi gardan mai bhandhi sham k zinda mai gyi

ha sakina kahani suno
ha sakina kahani suno

phir sakina nai kha hayai sakina
phir sakina nai kha rehtai hai wo log kha
boli zainab k huai sab wo aseerai zindan
qissa akhir hua neend ayi na tum ko mere jan
boli ro ro k sakina phuphi ab neend kha
tum to kehti the kahani suno neend ati h
is kahani sai mere neend uree jati h
ha sakina kahani suno
ha sakina kahani suno

boli ro ro k sakina yai mera qissa h
iss kahani ka shehnshah mera baba h
neza jiskai lga seenai mai mera bhaya h
mera asghar hai laino nai jissai mara hai
bai rida tum ho phuphi jan meri jati h
yai kahani to mere ghar ki nazar ati h
ha sakina kahani suno
ha sakina kahani suno

jisko seenai p shehnshah k neend ati the
dasht mai hayai chacha keh k jo chilati the
jisko kano sai lahu behta tha jo piasi the
apnai baba ki judai mai mari jati the
us shehnshah ki beti wo sakina mai hu
jiska dushwar hua qaid mai jeena mai hu
ha sakina kahani suno
ha sakina kahani suno

khatm jab sarwaro rehan kahani yai hui
wo jo sunti the kahani wo sakina na rhe
thamai zanjeer nakahat sai uthayai qaidi
ek nani si lehad kanptai hatho sai bani
sar shehnshah ka godi mai lahu rota tha
wa hussain aqa bs aik shor bapa hota tha



Credits
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link