Aab Ke Hum Bichchde

Ab ke hum bichhde, bichhde...
Ab ke hum bichhde to shayad kabhi khawabon mein mile
Ab ke hum bichhde to shayad kabhi khawabon mein mile
Jis tarah sukhe hue phool kitabon mein mile
Ab ke hum bichhde

Dhoond, ujde hue logon mein wafa ke moti
Wafa ke moti, moti, moti
Dhoond, ujde hue logon mein wafa ke moti
Ye khazane tujhe mumkin hai kharabon mein mile
Ab ke hum bichhde

Tu khuda hai na mera, ishq farishton jaisa
Tu khuda hai na mera
Tu khuda hai na mera
Tu khuda hai, khuda
Tu khuda hai na mera, ishq farishton jaisa
Dono insaan hain to kyun itne hijaabon mein mile?
Ab ke hum bichhde

Ab na wo main hoon, na tu hai, na wo maazi hai, Faraz
Ab na wo main hoon, na tu hai, na wo maazi hai, Faraz
Jaise do saaye tammana ke sarabon mein mile
Ab ke hum bichhde to shayad kabhi khawabon mein mile
Jis tarah sukhe hue phool kitabon mein mile
Ab ke hum bichhde



Credits
Writer(s): Ahmed Faraz
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link