Saqiya aur pela aur pela
Rooh maghmoom hay, dil doob raha hay saaqi
Laa kay is waqt meh naab rawa hai saaqi
Raqs karti hui kirnon ki jawani ka araq
Meray asaab ki daireena ghiza hai saaqi
Marnay kay baad saaqi, aayega kaun peenay
Mehkash ki zindagi hai, aray mehkhana zindagi ka
Saqia aur pila, aur pila, aur pila
Saqia jam kay bin yaad e jahan kuch bhi nahin
Saqia aur pila, aur pila, aur pila
Alam pay hay ghangor ghataon ka dhuan dekh
Fitrat kay manazir ka purghaib zaman dekh
Yeh dekh kay hai raqs kunan sara jahan dekh
Ay saaqia mehkhanay pay jannat ka guman dekh
Aur tashna labi, tashna labi bada kashan dekh
Ay pir e mughan, pir e mughan, pir e mughan dekh
Ay saqi e mekhana teri door balain
Ay teri door balain, ay teri door balain
Aray qarz pee aya koi bhes mein waiz kay sharab
Warna saqi say hai rindon ka taqaza kaisa
Aray aik mein hoon jo behek jata hoon tauba ki taraf
Warna rindon mein bura chaal chalan kiska hai?
Aray yeh ghalat hai shaarab ki tareef
Is ka zehnon pay raj hota hai
Sirf hiddat sharab deti hai
Baqi apna mizaj hota hai
Dil ki ghaflat shitabi hogayi
Aql jab behki sharabi hogayi
Aray mehkaday ka mehkada behosh tha
Saaqia, kuch behesabi hogayi
Takalluf bartaraf, ay doston jab shaam aati hai
Na taqwa kaam ata hai na tauba kaam aati hai
Janab e shaikh ulajhtay hain kis ta'aluq say
Sharaab kay yeh koi rishtaydaar bhi to nahi hain
Yehi hai shar e paimana, yehi tafseer e maikhana
Kay lafzon mein dikhadoon kheench kay tasveer e maikhana
Tujhay jaana hai jannat mein, aray waiz
Jawan ho kar jo aya hai
Toh dekhay ja zara taseer e maikhana
Aray band ho jaye jab dar e tauba
Khol dena mehkaday ka darwaza
Shaam surkhi shafaq ki kehti hai
Asman bhi sharaab peeta hai
Aray kiyon na tootay meri tauba jo kahay tu saaqi
Pee lay, pee lay, aray ghangor ghata chayi hai
Badal ki tarah jhoom kay, lehra ka piyain gay
Saqi teray mehkhanay pay hum cha kay piyain gay
Is tarah say peenay kay nahi kibla aur Kaaba
waiz hein, yeh do chaar ko behka kay piyeen gay
Mehkashon ki saadgi itni pasand aayi humein
Chor kar hum dunya daaron ki dagar peenay lagay
Khair say deewar o dar ko bhi nasha rehnay laga
Ab to hum bhi apany ghar mein baith kar peenay lagay
Pa kay har aik kaam say fursat, sab he peetay hain magar
Jab bhi pee hai, toh kisi kaam say pee hai mein nay
Yeh to mehkhanay mein hota he chala aaya hai
Kabhi beydaam, kabhi daam say pee hai mein nay
Hazar baar qasam khai hai na jaanay ki
Kashish ajeeb hai laiken sharaab khanay ki
Aray la, aur bhi aik jam kay aaye hein ghatain
Ay saqi e mehkhana teri door balain
Pee lo gay toh ay shaikh zara garm raho gay
Thanda he na kardein kaheen jannat ki hawain
Ay saqi e mehkhana teri door balain
Mehkhanay pay ab jhoom kay aaye hein ghatain
Makhtor fiza aur yeh sarmast hawaein
Deta hai har aik rind tujhay dil say duain
Mehkhanay ka dar khol kay aur jam urain
Is mausam e gul rang ka ham jashn manain
Aisay may agar hazrat e waiz chalay ain
Mehkhawar unhey khoob meh e laab pilain
Inkar karein woh toh yeh hum keh kay manain
Pee jayo kay peena may zia kuch bhi nahi
Saqia jaam kay bin yaad e jahan kuch bhi nahi
Saqi aur pila, aur pila, aur pila
Fitrat kay manazir ka zara dekh nazara
Aik lamha ki taakhir nahi ab toh gawara
Kiyon aayein al atash al atash ki sadaein
Dey jaam kay mehnosh zara piyaas bujhain
Yeh such hai kay chand roz ki mehman hai dunya
Alam ki besawati pay hairan hai dunya
Kis darja masail mein giriftar hey insaan
Har lehza woh sukoon ka talabgar hai insaan
Deewarein gham ki jab kay girata hai aadmi
Saqi teri panah mey ata hai aadmi
Gham ka ilaj aap ki nazron mein kuch bhi ho
Gham ka ilaj meri nazar mein sharaab hai
Nah ho mehkhana toh yeh rang e jahan kuch bhi nahi
Saqia jaam kay bin yaadd e jahan kuch bhi nahi
Saqi aur pila, aur pila, aur pila
Marmari jism, haseen chehra aur gudaaz badan
Woh jism e nazuk, woh nurm bahain
Haseen gurdan, sidol baazo
Shigufta chehra, salooni rangat,
Daraz e bal kay maheen abro
Nasheeli aankhein, raseeli chitwan
Ghanera choorha, siyah gayso
Buland qamat, tharkta seena
Sarapa shokhi, sarapa khushboo
Surkh aankhon ki qasam, kaanpti palkon ki qasam
Thar tharaye huay aansoo nahi dekhay jaatay
Ab to aghosh e tasawwur mein bhi aaya na karo
Mujh say bikhray huay gayso nahi daikhay jaatay
Valvala josh jawani, woh malahat, woh bhawan
Kali zulfein woh nazakat say sarakta aanchal
Rang e khayyam mein jis tarah say ghalib ki ghazal
Mehkada jaam surai bhi haseen raat bhi hai
Us haseena say meri aaj mulaqat bhi hai
Jee mein aata hay teri maang sitaron say bharoon
Chand ki kirnein teray rukh pay nichawar kardoon
Aaj ki raat bohat dair key baad aayi hai
Aaj ki raat bohat dair key baad aayi ho
Ji mein aata hai kay daanista shararat karloon
Shaikh sahab ki naseehat say baghawat karlon
Aur angoor ki paitty say mohabbat karloon
Na ho angoor ki paitty to maza kuch bhi nahin

Ay rind e kharabat chalak jaye gulabi
Nadhar ho madhosh to fitrat ho sharabi
Yoon jaam utha choom kay rehjaye zamaana
Mehkhanay kar dar choom kay reh jaye zaman
Makhtoor fizaein ho toh madhosh zamana
Takrain agar jaam toh paida ho tarana
Jhalkain is andaz say mehkhawar sharabein
Waiz kay burhapay mein bhi cha jayein sharabein
Pee waiz e nadan ko pehlo mein bitha kar
Deewana koi poonchay gar josh mein akar
Toh keh dey yeh jhalakta hua jaam charha kar
Patta bhi nahi hilta baghair us ki raza kay
Na ho angoor ki paity to maza kuch bhi nahin

Ban gaya insaan wohi jis nay bhi pee li sharab
Kis qadar ikseer hai angoor ki beti sharaab
is pay har aik zauq wala jaan karta hai fida
Aur kisi bay zauq ko achi nahi lagti sharaab
Aaj tu nay aik tabassum say nawaza hai mujhay
Aaj pehli baar pee hai chandni jaise sharaab
Is liyay peeta hoon mein bhi dostoon mein baant kar
Jaanto hoon kay chupaye say nahi chupti sharaab
Aik sharabi kay liyay kiya manzelien kiya rastay
Mein udhar ko chaldiya lay kar jidhar chal di sharaab
Gham say bhi chuthi nahi jaan meri umr bhar
Mein nay bhi ay sheikh peetay pee nahi sharaab

Har zarra e na cheez hai is waqt sharaabi
Har rind khush o khawab ka chehra hai shahabi
Peymana chalak ta hey damakti hai gulabi
Kafir hoon agar laayon na masti mein tabahi
Botal ki yeh surkhi hai ghataon ki siyahi
Aur is pay kisi shokh ki doseeda nigahi
Har jaam pay aayi hai jamayi pay jamayi
Jhurmat hai haseenon kay yeh darya kay kinaray
Phirtay hain nazar baz bhi seenon ko ubharay
Jhoolay mein cham a cham hey cham a cham hein isharay
Aa mast ghataon ki tarah rashq mein jhoomein
Masti say guzar jain machatay huay dhoomein
Gar jaam nahi hai toh samaa kuch bhi nahi

Credits
Writer(s): aziz mian qawwal
Lyrics powered by www.musixmatch.com
Link
Other Album Tracks
© 2024 All rights reserved. Rockol.com S.r.l. Website image policy
Rockol
- Rockol only uses images and photos made available for promotional purposes (“for press use”) by record companies, artist managements and p.r. agencies.
- Said images are used to exert a right to report and a finality of the criticism, in a degraded mode compliant to copyright laws, and exclusively inclosed in our own informative content.
- Only non-exclusive images addressed to newspaper use and, in general, copyright-free are accepted.
- Live photos are published when licensed by photographers whose copyright is quoted.
- Rockol is available to pay the right holder a fair fee should a published image’s author be unknown at the time of publishing.
Feedback
Please immediately report the presence of images possibly not compliant with the above cases so as to quickly verify an improper use: where confirmed, we would immediately proceed to their removal.