Satyamev Jayate - Anthem

Tera rung aisa chadh gaya
Koi aur rang naa chadh sake
Tera naam seene pe likha
Har koi aake padh sakey

Hai junoon hai junoon hai
Tere ishq ka ye junoon hai
Rag rag mein ishq tera daudta
Yeh bawraa sa khoon hai
Tune hi sikhaya sachchaiyon ka matlab
Tere paas aake jaana maine zindagi ka maqsad
Satyamev... satyamev... satyamev jayate
Sachcha hai pyaar tera, satyamev jayate

Tere noor ke dastoor mein
Na ho salwatein na shikan rahe
Meri koshishein toh hai bas yahin
Rahein khushbooein gulshan rahe
Teri zulf suljhane chala
Tere aur paas aane chala
Jahan koi sur na ho be-sura
Woh geet main gaane chala

Tera rang aisa chadh gaya
Tha nasha jo aur bhi badh gaya
Teri barishon ka karam hai ye
Main nikhar Gaya main sanwar gaya
Jaisa bhi hoon apna mujhe
Mujhe ye nahin hai bolna
Qaabil tere main ban sakoo
Mujhe dwaar aisa kholna
Saanson ki iss raftaar ko
Dhadkan ke iss tyohaar ko
Har jeet ko har haar ko
Khud apne iss sansaar ko
Badloonga main tere liye

Mujhe khud ko bhi hai tatolna
Kahin hai kami to hai bolna
Khahin daag hain toh chupayein kyon
Hum sach se nazrein hatayein kyon
Khud ko badalna hai agar
Badloonga main tere liye
Sholon pe chalna hai agar
Chal doonga main tere liye
Mere khoon kee har boond main
Sankalp ho tere pyaar ka
Kato mujhey to too bahe
Ho surkh rang har dhar ka



Credits
Writer(s): Ram Sampath, Payyambra Jayakumar
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link