Khudaya Khair (From "Billu")

(Raaton raat tara koi
Chand ya sitara koi
Gire toh utha lena
O suniyon re
Tara chamkila hoga
Chand Sharmila hoga
Nath mein laga lena) — 2

Zara si saawari hai woh
Zara si baawari hai woh
Woh surme ki tarah meri
Aankhon mein hi rehti hai

Subah ke khawab se udai hai
Palkon ke neeche chupai hai
Mano na mano tum
Sothe sothe khawabon mein bhi khawab dikhati hai
Mano na mano tum
Pari hai woh pari ki kahaniyan sunati hai

Khudaya khair
Khudaya khair
Khudaya khair
Khudaya khair

Raaton raat tara koi
Chand ya sitara koi
Gire toh utha lena
O suniyon re
Tara chamkila hoga
Chand Sharmila hoga
Nath mein laga lena

Tu hawa main zameen
Tu jahan mein wahin
Jab ude mujhe le ke kyon udti nahi
Tu ghata mein zameen
Tu kahin mein kahin
Kyon kabhi mujhe leke barasti nahi

Zara sa saawara hai woh
Zara sa baawara hai woh
Woh surme ki tarah meri
Aankhon mein hi rehta hai

Subah ke khawab se udai hai
Palkon ke neeche chupai hai
Mano na mano tum
Sothe sothe khawabon mein bhi khawab dikhati hai
Mano na mano tum
Pari hai woh pari ki kahaniyan sunati hai

Khudaya khair
Khudaya khair
Khudaya khair
Khudaya khair

Jab daanth mein ungli dabaye
Ya ungli pe lat liptaye
Badal yeh nichadta jaye
Hoo hoohhhhh

Kuch kar ke woh baat ko taale
Jab maathe pe woh bal dale
Amber yeh sukadhta jaye
Hooo hoooohh

Woh jab nakoon kutarti hai
To chanda ghatne lagta hai
Woh pani par kadam rakhe
Sagar bhi hat jata hai

Subah ke khawab se udai hai
Palkon ke neeche chupai hai
Mano na mano tum
Sothe sothe khawabon mein bhi khawab dikhati hai
Mano na mano tum
Pari hai woh pari ki kahaniyan sunati hai

Khudaya khair
Khudaya khair
Khudaya khair
Khudaya khair



Credits
Writer(s): Gulzar, Pritam
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link