Alamdar Na Aaya

Aye Ahle Harm...
Aye Ahle Harm meer o Almdar na aaya
Almdar na aaya
Aye Ahle Harm meer o Almdar na aaya
Almdar na aaya
Saqa e Hussain Syed o salar na aaya
Almdar na aaya
Aye Ahle Harm meer o Almdar na aaya
Almdar na aaya
Hussain!
Mola ki kamar tuti jis dam yeh khabar aai
mara gaya dariya par Shabir ka Shaidaee
Khoon bhar gaya aankhon main
jaati rahi beenai
maqtal se Sakina ka woh gham khwar na aya
Saqa e Hussain Syed o salar na aaya
Almdar na aaya
Aye Ahle Harm meer o Almdar na aaya
Almdar na aaya
Aye Ahle Harm meer o Almdar na aaya
Almdar na aaya
Hussain!
jab khoon main tar aya Abbas ka woh parcham
tapti hui raiti per atfaal the sab bedam
Sarwar ne kia noha Zainab ne kia maatam
chilaaye Haram Ghazi o Jarar naa aaya
Saqa e Hussain Syed o salar na aaya
Almdar na aaya
Aye Ahle Harm meer o Almdar na aaya
Almdar na aaya
Aye Ahle Harm meer o Almdar na aaya
Almdar na aaya
Hussain!
hukm e Shah e wala per dariya ko utha lata
kiya karta bhala Ghazi mehroom e ijazat tha
koshish toh bohat ki par
laakhon mein ghira tanha
jab mashk chidhi phir woh Wafadar na aaya
Saqa e Hussain Syed o salar na aaya
Almdar na aaya
Aye Ahle Harm meer o Almdar na aaya
Almdar na aaya
Aye Ahle Harm meer o Almdar na aaya
Almdar na aaya
Hussain!
Zehra ke gharane ka woh zamin e chaadar tha
maslak mein thi saqai kirdar main Haidar tha
jis waqt katay baazo Ghazi ke bahy aansu
lenay gaye Mola woh Dilfigar na aaya
Saqa e Hussain Syed o salar na aaya
Almdar na aaya
Aye Ahle Harm meer o Almdar na aaya
Almdar na aaya
Aye Ahle Harm meer o Almdar na aaya
Almdar na aaya
Hussain!
Bachon ki saadain thi Abbas chacha paani
ek mashk lahu de kar ek mashk bhara paani
us mashk e Sakina se jis waqt baha paani
woh mar gaya dariya peh haya daar na aaya
Saqa e Hussain Syed o salar na aaya
Almdar na aaya
Aye Ahle Harm meer o Almdar na aaya
Almdar na aaya
Aye Ahle Harm meer o Almdar na aaya
Almdar na aaya
Hussain!
Woh Shair e dilawar tha
tanha bhi jo lashkar tha
afsos lab e dariya ek laasha e besar tha
Halmin ki sada sunta
rota tha tarap ta tha
Shabir ka shaida woh Madadgar naa aaya
Saqa e Hussain Syed o salar na aaya
Almdar na aaya
Aye Ahle Harm meer o Almdar na aaya
Almdar na aaya
Aye Ahle Harm meer o Almdar na aaya
Almdar na aaya
Hussain!
jaltay huway khaimon se Zainab ki saada aai
aye Baba Ali dekho Beti ki yeh tanhayee
yeh mashk o Alam aya, aaya na mera Bhaai
Baba mere kunbay ka tarfdaar na aaya
Saqa e Hussain Syed o salar na aaya
Almdar na aaya
Aye Ahle Harm meer o Almdar na aaya
Almdar na aaya
Aye Ahle Harm meer o Almdar na aaya
Almdar na aaya
Hussain!
rehan se sarwar se ho dard bayan kesay
jis Shair ki dhaaraz per aabad rahy khaimay
jaltay huway khaimon se
ghabra ke jo Zainab ne
kitni bhi saadain di woh ek baar na aaya
Saqa e Hussain Syed o salar na aaya
Almdar na aaya
Hussain!



Credits
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link