Mera Yaar Dildar (From "Jaanwar")

Maathe pe chamke iske sooraj ki laali
Honton se chhalke dekho masti ki pyaali
Balkhaaye aise jaise champa ki daali
Iski adaaein saare jag se niraali

(Mera yaar dildaar bada sona
Main dekhoon baar baar isko) – 2

Kirne lutaaye dekho chaaron dishaaein
Khushboo ka jhonka leke aaye hawaaein
Chaahat ke rangon se hain rangeen fizaaein
Saare jahan se kehti meri nigaahein

(Mera yaar dildaar bada sona
Main de doon saara pyaar isko) – 2

Maahi mera maahi meri jind meri jaan ve

Teri is ada pe ho gaya main qurbaan oye

Maahi mera maahi meri jind meri jaan ve

Teri is ada pe ho gaya main qurbaan oye

Gore gore rang iske neele neele naina
Dekhe bin ab to kahin aaye nahin chaina
Haaye, resham jaise ang iske gesu jaise baadal
Dil ko deewana kare dhaani dhaani aanchal
Shokh bahaaron si lagti hai iski har angdaai

(O mera yaar dildaar bada sona
Main de doon saara pyaar isko) – 2

Dol sajna hai duniya badi bepeer ve

Bichhdegi raanjhana se kabhi bhi na heer oye

Dol sajna hai duniya badi bepeer ve

Bichhdegi raanjhana se kabhi bhi na heer oye

Shehnaai ki sargamon si meethi teri baatein
Dekhoon main khwaabon mein shaadi doli baaraatein
Yaara tere saath meri shaamein hain sindoori
Na to koi pyaas hai, na chaahat hai adhoori
Sau rab di ek pal bhi ab to sehni nahin judaai

Mera yaar dildaar bada sona
Main dekhoon baar baar isko

Haan mera yaar dildaar bada sona
Main de doon saara pyaar isko

Maathe pe chamke iske sooraj ki laali
Honton se chhalke dekho masti ki pyaali

Kirne lutaaye dekho chaaron dishaaein
Khushboo ka jhonka leke aaye hawaaein

Mera yaar dildaar bada sona
Main dekhoon baar baar isko

O mera yaar dildaar bada sona
Main de doon saara pyaar isko



Credits
Writer(s): Sameer, Milind Shrivastav, Anand Shrivastav
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link