Kahin Hai Mera Pyar

Ye mere khaabon ki manzil
Chahat ki chaabi
Ye meri taqdeer ka hissa
In hatho ki lakeer
Maine apne hath se sanwaari
Soni soni heer
Usko haasil karke rahunga
Jiski ye tasveer

Kahin hai.kahin hai
Kahin na kahin hai mera pyar
Kahin hai.kahin hai
Ho kahin na kahin hai mera pyar
Woh anjaana ajnabi mil hi jaayega kabhi
Woh anjaana ajnabi mil hi jaayega kabhi
Diya jise ramgo mein utaar
Kahin hai.kahin hai
Ho kahin na kahin hai mera pyar

Chhaya ban kar maanas pat par chha gaya
Rango ka chunaav khud hi karva gaya
Indra dhanush ki manhar chhata bikherta
Ambar se mere aangan mein aa gaya
Woh sapno ke mitra se keh gaya jaak ke chitra se
Woh sapno ke mitra se keh gaya jaak ke chitra se
Milenge hum aasha mat haar
Kahin hai.kahin hai
Ho kahin na kahin hai mera pyar

Rango mein sakaar huyi hai kalpna
Safal huyi yaara din ki aaradhna
Antar ke anuragi rango se sajii
Har rekha hai mere mann ki kaamna
Pyaasa jiski preet ka andekhe uss meet
Pyaasa jiski preet ka andekhe uss meet
Har pal hai mujhe intezaar
Kahin hai.kahin hai
Ho kahin na kahin hai mera pyar

Aankhein bole ye pehla anu bandh hai
Mann kehta hai jalwon ka sambandh hai
Bahot jeeya ab peeya bina jeena nahi
Usko meri saanso ki saugandh hai
Dil jisko dhundha kiya rab ne usse milla diya
Dil jisko dhundha kiya rab ne usse milla diya
Rab ka hoon shukra guzaar
Yahin hai yahin hai
Yahin hai yahin hai mera pyaar.



Credits
Writer(s): Ravindra Jain
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link