On My Own

BETI KI KHAMOSHI

LYRICIST-Chandrashekhar .p .kanhere

Thodi si reham kar de ham par,
dekhi nahi yeh duniya
hajaro me nahi lakho me hai
yeh ek teri gudiya.
@@1-Mamata ko samajhna hai tujhko,
uss maa ke dil se puch jara
jisne umeed ke sagar me,
behate huye dekha hai sapana
insaan hai duniya me agar,
chahat ke kinare la
thodi si reham karde ham par
dekhi nahi yeh duniya
hajaro me nahi lakho me hai
yeh ek teri gudiya.

@@2-Jis maa ko tune maa hai kaha,
woh maa bhi kisi ki beti thi
uss maa ki god me pal rahi
issme meri kya galati thi
duniya me rahungi mai hi nahi
mit jayegi yeh duniya
thodisi reham karde hampar
dekhi nahi yeh duniya
hajarome nahi lakho me hai
yeh ek teri gudiya.

@@3-Har bhai kal royega,
pal pal tujhko kosega
suni padegi uski kalayii
tab tujhse woh puchega
mai tere ghar ki bojh nahi,
sach kehti hu jhooth nahi
hogi jab bhi bidayee meri
har aangan mujhko dhoondega
maan badhega jab tu karega
kanyadaan mera
Thodisi reham kar de ham par,
dekhi nahi yeh duniya
hajarome nahi lakho me hai
yeh ek teri gudiya.



Credits
Writer(s): Burt F. Bacharach, Carole Bayer Sager
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link