Main Yeh Sochkar Uske Dar Se Utha

Main ye sochakar uske dar se utaa tha
Ki vo roak legi, manaa legi mujko

Hawaon mein laharaata aathaa tha daaman
Ki daaman pakad kar bitha legi mujko

Qadam aise andaaz se uth rahe the
Ki awaz dekar bulaa legi mujko

Magar usne roka naa usne manaaya
Naa daaman hee pakadaa, naa mujko bithaaya
Naa awaz hee dee, naa vaapas bulaayaa
Main aahista aahista badhata hi aayaa

Yahaan tak ki usse juda ho gaya main
Yahaan tak ki usse juda ho gaya main
Juda ho gaya main, juda ho gaya main,
Juda ho gaya main, juda ho gaya main,



Credits
Writer(s): Madan Mohan, Kaifi Azmi
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link