Tere Daman E Karam

Tere Daamane Karam Mein Jise Neend Aagayi Hai,
Jo Fanaa Na Hogi Aisi Use Zindagi Mili Hai!

Tere Daamane Karam Mein Jise Neend Aagayi Hai.

Mujhe Kya Padi Kisi Se Karun Arz-e-Mudda'a Main,
Meri Lao To Bas Unhi Ke Dar-e-Jood Se Lagi Hai!

Tere Daamane Karam Mein Jise Neend Aagayi Hai.

Mai Gunahgaar Hun Aur Bade Martabon Ki Khawahish,
Tu Magar Kareem Hai Jo Teri Banda Parwari Hai!

Jo Fanaa Na Hogi Aisi Use Zindagi Mili Hai.

Jo Paayein Sawaal Aayein Mujhe Dekhkar Yeh Bolein,
Ise Chain Se Sulaao Ke Yeh Banda-e-Nabi Hai!

Main Marun To Mere Maula Yeh Malaila Se Kehde,
Koi isko Mat Jagaana Abhi Aankh Lag Gayi Hai!

Jo Fanaa Na Hogi Aisi Use Zindagi Mili Hai.

Wo Jahaan Bhar Ke Daata Mujhe Feyr Denge Khaali,
Meri Tauba Aye Khudaa Yeh Mere Nafs Ki Badee Hai!

Tera Dil Shikasta Akhtar Isi Intezaar Mein Hain,
Ke Abhi Naveed-e-Waslat Tere Dar Se Aarahi Hai!

Tere Daamane Karam Mein Jise Neend Aagayi Hai,
Jo Fanaa Na Hogi Aisi Use Zindagi Mili Hai!



Credits
Writer(s): Dr. Hafiz Nisar Ahmed Marfani
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link