Alvida (From "D-Day")

Jaane kaise,
Toote rishton se bikhre hain ye pal
Maano jaise,
Gham ki palkon se chalke hain ye pal
Kyun adhoori yeh kahaani
Kyun adhoora yeh fasaana
Kyun laqeeron mein iske "Alvida"

Umr bhar ka saath de jo, Kyun wohi pyaar ho!
Kyun na mit ke jo fanaa ho, Woh bhi pyaar ho!
Naa adhoori yeh kahaani
Naa adhoora yeh fasaana
Mar ke bhi naa hum kahenge, Alvida!

Bairiya mere Rabba
Kyun hua mere Rabba
Yun naa dhaavi
Yun naa dhaavi
Do dilaan di yeh kahaani

Mit bhi jaaun, na mite ye kaisi pyaas hai
Dooriyon mein bhi kho ke tu, mere paas hai
Kyun ki tu meri kahaani
Kyun ki tu mera fasaana
Ab kabhi phir na hai kehna. Alvida!

Teri yaadon ko sehlata hoon (naa kehna.)
Pal mein bann ke bikharta hoon
Jis jahaan mein kho gayi ho tum (alvida.)
Kya nahi hai wahaan
Tooti tanhaiyon ka gham

Bairiya mere Rabba
Kyun hua mere Rabba
Yun naa dhaavi
Yun naa dhaavi
Do dilaan di yeh kahaani

Jaane kaise,
Toote rishton se bikhre hai ye pal (naa kehna.)
Maano jaise,
Gham ki palkon se chalke hai ye pal (alvida.)
Kyun adhoori yeh kahaani
Hu... ooo... Alvida



Credits
Writer(s): Ehsaan Noorani, Shankar Mahadevan, Loy Mendonsa, Niranjan Iyengar
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link