Har saans

Mera chota sa ek sapna hai.
Jisey pal ma pura kar dy ga.

In ati jati sanson ma.
Wo khushboo pyar ki bhar dy ga.

Mujhe onchi hawaon ma urrna hai.
Aur amber ko ja chuna hai.

Sona hai yaad k bister par.
Phir har khawish ma jagna hai.

Jab chahun ghumon baghia ma.
Ma titli hun mujhe par dy dy.

Mera chota sa ek sapna hai.
Jisey pal ma pura kar dy ga.

In ati jati sanson ma.
Wo khushboo pyar ki bhar dy ga.

Har sans gawahi deti hai.
Mera jeevan sundar kar dy ga.

Jab dekheY GA Mera khali mann.
Wo rang.e.muhabbat bhar dy ga.

Wo mera sajan, wo mera piya.
Bin jis k lagay na mera jiya.

Jeevan ki andheri raaton ma.
Wo jaisa ho koi jalta diya.

Mujhe us ki panah ma rehna hai.
Jo hansta basta kar dy ga.

Jis ghar ki kachi deewaren thi.
Aur lakri ka ek zeena tha.

Agna ma matti ki khushboo.
Wo sawan rut ka mahina tha.

Maazi k sundar rangon ka.
Nainon ko har manzar dy ga.

Mera chota sa ek sapna hai.
Jisey pal ma pura kar dy ga.

In ati jati sanson ma.
Wo khushboo pyar ki bhar de ga.



Credits
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link