Natnaagar Ki Hai Saari Leela

Suno Gaur Se
Suno Gaur Se tum,
Natnaagar ki hai saari leela. (2)
Om... Om...
Karagreh me janm liya, Laal devki kaa
Mushkil me praan fasa, maiya thi laachar
Kans mama ko khabar na thi, Ho gaya chamatkar
Toot gayi sari hathkadiyan, khul Gaye saare dwaar
Chali raah fir, chali raah aagey,
Natnaagar ki hai saari leela.

Leke chale tokari me, pitaa vasudev
pag chune, badne lagey, jamuna nadi ke dhar
Thamne ka naam na le, baarish ki raftaar,
Chaya bane tab aake, Sheshnaag fankaar
Hue par fir jamuna ke Tat se,
Natnaagar ki hai saari leela.

Maa ka roop dhar ke aayi pootna doodh pilane, mayavi ki maya boojh gaye Krishna
Shaam apni chaturayi se kardiye kuch aisa, vadh karke daayan ka, bujha diye kishna.
Koi na jaane antaryaami ko. Natnaagar ki hai saari leela.

Bachpan ki chaya me, khola divye lalat
khel khel me dikhlaya maa ko roop virat
Yashomti maiya ne kanha ko pehchana
ishwar ki maya ko tab jaake jana.
Sakal Vishnu ko khud me chupaya hai
Natnaagar ki hai sari leela.

Gopiyon sang raas rachaye, ras rachaiya ne, cheer haran chupke kiya Krishna kanhaiya ne.
makhan ki chori me pakda maiya ne.
bansi ki dhun sunke naacha gaiyan ne.
prem raag se sabko hai baandha
Natnaagar ki hai saari leela...

Kaale naag ne ghera fir sare sankat mey,
sab gyata girdhar ne kuch aisa kam kiya,
har bhainse har mann ko chinta se dur kiya
govardhan parvat ko ungli pe utha liya,
bana di unhoni ko bhi honi.
Natnaagar ki hai sari leela.
suno suno gaur se
suno suno gaur se tum,
Natnaagar ki hai saari leela.



Credits
Writer(s): Sameer, Singeetam Srinivasa Rao
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link