Mehfuz

Zindagi hai dhuan to kya
Too little, too late.

Bujh gayi har subah to kya
Rootha mujhse khuda to kya
Ho gaye hum juda to kya

Faasle they hazaaron darmiyan,
Waqt ke they hazaaron imtehaan

Fir bhi ban ke nishaan,
Tere honthon ke kisi kone mein,
Hansi ke tarah, main mehfuz hoon

Teri aankhon ke chipe dard mein
Aansoo ki tarah, main mehfuz hoon

Bewajah har wajah to kya
Begunahii hai gunaah to kya
Beasar hai dua to kya
Ho gaye hum juda to kya

Raaz gehre hazaron bepanah
Lafz thahare hazaaron bejubaan

Fir bhi ban ke nishaan
Tere honthe ke kisi kone mein
Hansi ki tarah, main mehfuz hoon

Tere gesu ke ude pannon mein
Yaadon ki tarah, main mehfuz hoon

Teri aankhon mein
Mehfuz hoon
Teri yaadon mein
Mehfuz hoon
Teri baaton mein
Mehfuz hoon
Tere baalon mein
Mehfuz hoon

Faasle the hazaron darmiyaan
Waqt ki thi hazaron aandhiyan

Fir bhi ban ke nishaan
Tere honthon ke kisi kone mein
Hansi ke tarah, main mehfuz hoon

Tere kaandhe ke chipe til mein
Vaadon ki tarah, main mehfuz hoon



Credits
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link