Humnava

Ae humnava, mujhe apna bana le
Sookhi padi dil ki is zameen ko bhiga de
Hmm, hoon akela, zara haath badha de
Sookhi padi dil ki is zameen ko bhiga de

Kab se main dar-dar phir raha
Musafir dil ko panaah de
Tu aavaargi ko meri aaj thehra de

Ho sake toh thoda pyaar jata de
Sookhi padi dil ki is zameen ko bhiga de

Murjhaai si shaakh pe dil ki, phool khilte hain kyun?
Baat gulon ki, zikr mehek ka achchha lagta hai kyun?

Un rangon se tune milaya
Jinse kabhi main mil na paaya
Dil karta hai tera shukriya
Phir se bahaarein tu laa de

Dil ka soona banjar mehka de
Sookhi padi dil ki is zameen ko bhiga de
Hmm, hoon akela, zara haath badha de
Sookhi padi dil ki is zameen ko bhiga de

Waise toh mausam guzre hain zindagi mein kayi
Par ab na jaane kyun mujhe woh lag rahe hain haseen

Tere aane par jaana maine
Kahin-na-kahin zinda hoon main
Jeene laga hoon main ab ye fizayein
Chehre ko chhooti hawayein

Inki tarah do qadam toh badha le
Sookhi padi dil ki is zameen ko bhiga de
Ho, hoon akela, zara haath badha de
Sookhi padi dil ki is zameen ko bhiga de



Credits
Writer(s): Sayeed Quadri, Mithoon
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link