Kya Hoga (From "Dedh Ishqiya)

Dil ka diya, shab bhar jala
Tere liye o piya... aa
Jaate huve (jaate huve)
Keh ke gaya (keh ke gaya)
Yaar vida, alvida

Dil to diya hai, jaan bhi de dein
Aur nazrana kya hoga
(Lau ko chhu ke, laut aaya jo
Woh parwana kya hoga)
Lau ko chhu ke, laut aaya jo
Woh parwana kya hoga

[Chorus]
Kya hoga, kya hoga, kya hoga
Kya kya ji, kya kya ji, kya hoga
Kya hoga, kya hoga, kya hoga
Kya kya ji, kya kya ji, kya hoga

Sar pe falak hai, falak pe sitare
Aji humne to dekhe hain aankhon mein saare
Ho... palkein jhukaane se, kya hoga
Palkein jhukaane se, kya hoga

[Chorus]
Kya hoga, kya hoga, kya hoga
Kya kya ji, kya kya ji, kya hoga
Kya hoga, kya hoga, kya hoga
Kya kya ji, kya kya ji, kya hoga

Dil ka diya, shab bhar jala
Tere liye o piya... aa

Kya kya bataayein, ki kin kin zamano mein
Dekha hai humne tumhein (o piya ji piya)
Rumani mausam ki, sab dastano mein
Dekha hai humne tumhein (o piya ji piya)

[Bridge]
O piya ji, piya
Morey piya ji, morey piya ji
Morey piya ji, piya ji, piya ji, piya
Piya ji, piya ji, morey piya

Jaana tu, baarish ki awaaz mein
Kabhi chhanv ke andaaz mein
Kabhi udti hui dhoop mein
Kabhi khushboo ki badmaaz mein

Pul pe guzarte jo, dariya ne dekha
Paani pe parchhayi, sehla ke dekha
Ho katra ke ab humse, kya hoga
Katra ke ab humse, kya hoga

[Chorus]
Kya hoga, kya hoga, kya hoga
Kya kya ji, kya kya ji, kya hoga
Kya hoga, kya hoga, kya hoga
Kya kya ji, kya kya ji, kya hoga

Zindagi uspe, vaar ke aaye
Saare ehsaan, utaar ke aaye
Humne taare utaare the, lekin
Usne to aasman loot liya

[Outro]
Loot liya bhai, loot liya bhai
Loot liya bhai, loot liya bhai, loot liya
Loot liya bhai, loot liya bhai
Loot liya bhai, loot liya bhai, loot liya

Parda uthai ke, ghoonghat girai ke
Chain humaara, loot liya
Nazar uthai aur palkein gira ke, loot liya
Salam-e-shauq ne kuchh is tarah se, loot liya

Na jaane khoon hua
Kitni aarzuon ka
Labon pe paan ki surkhi laga ke, loot liya
Wafa se loota kabhi-kabhi
Aur kabhi jafa se, loot liya
Sitam, har ada pe, loot liya

Loot liya bhai, loot liya bhai
Loot liya bhai, loot liya bhai, loot liya



Credits
Writer(s): Gulzar, Vishal Bharadwaaj
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link