Sapne 

Sapne
Sapne sapne hona zaroori hain
Kacche pakke aadhe poore

Har doosra chehra yahaan soya-soya hain
Aisa lage sabka kuchh khoya-khoya hain
Shehron me pedh sote nahi hain
Chidiya nahi hai gaati
Yahaan raat din chalke bhi yaar manzil nahi hai aati

Phir bhi sapne hona zaroori hain...

Yahaan roz chhapte hain darr akhbaron mein
Bazaar pahunche ghar, ghar bazaaron mein
Sab suna rahen apni hi baat
Yahaan shor har kaheen hai
Dooje ko sunne ki kisi mein bhi himmat hi nahi hain

Phir bhi sapne hona zaroori hain...

Chahe daak mein koi chitthhi na aati ho
Dil baantne waala sangi na sathi ho
Be shak ho yaar tera gawaar koi samajh hi na paye
Dil bar bar haan bar bar bas toot ta hi jaye

Phir bhi sapne hona zaroori hain...
Kacche pakke aadhe poore
Sapne sapne hona zaroori hain...



Credits
Writer(s): Ram Sampath, Sona Mohapatra, Munna Dhiman
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link