Aap Aaye To - From "Gumrah"

Aap aaye to khyaal-a/e-dil-a/e-nashaad aayaa

Kithne bhuule hue zakhmon ka pata yaad aayaa

Aap aaye...

Aap ke lab pe kabhi apana bhee naam aayaa tha
Shokh nazaron se mohabbat ka salaam aayaa tha
Umr-bhar saath nibhaane ka payaam aayaa tha

Aap ko dekh ke vo ahad-a/e-vafaa yaad aayaa
Kithne bhuule hue zakhmon ka pata yaad aayaa
Aap aaye to khyaal-a/e-dil-a/e-nashaad aayaa
Aap aaye...

Rooh mein jal ute bujhati huee yaadon ke die
Kaise deewaane the hum aap ko paane ke liye
Yoon to kuch kam nahin jo aap ne ehsaan kiye

Par jo maange se naa paayaa, vo sila yaad aayaa
Kithne bhuule hue zakhmon ka pata yaad aayaa
Aap aaye to khyaal-a/e-dil-a/e-nashaad aayaa
Aap aaye...

Aaj vo baath nahin, phir bhee koyi baath nahin
Mere hisse mein ye halki see mulaaqaat to hai
Gair ka hoke bhee ye husn mere saath to hai

Haay, kis vaqt muje kab ka gilaa yaad aayaa
Kithne bhuule hue zakhmon ka pata yaad aayaa
Aap aaye to khyaal-a/e-dil-a/e-nashaad aayaa
Aap aaye...

Credits
Writer(s): Ravi, Ludiavani Sahir
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link