Ek Baar Do Baar

Haan ho gayi galti mujhse main jaanta hoon
Par ab bhi tujhe main apni jaan maanta hoon
Ek aakhiri mauka de mujhe
Aaj bhi main tujhe apni shaan maanta hoon

Sirf saanse hi to baaki hain
Jab teri yaad aati hai
Yaad me teri, saath ye bhi chhod jaati hai

Ghalti to sabse hoti hai
Galti mujhse bhi ho gayi
Ab maaf bhi karde mujhe
Kyu door itna ho gayi

Ek ghalti ke liye
Kyu saath chhod tu
Kyu munh mod gayi tu
Kyu be-nishaan sa
Nishaan chhod gayi tu

Haan ho gayi galti mujhse main jaanta hoon
Par ab bhi tujhe main apni jaan maanta hoon
Jaan maanta hoon...
Ek aakhiri mauka de mujhe
Aaj bhi main tujhe apni shaan maanta hoon
Shaan manta hoon...

Socha kuch pee kar tujhe bhula dunga
Par pee kar bhi yaad aayi tu
Itni si baat par chhod gayi
Jaana hi tha to aayi kyun
Jeena mera aasaan kar
Tu milke ye ehsaan kar
Yaad teri sataati hai
Ab aaja baat maan kar

Jab jab tu chali jaati hai
Aisi nami chha jati hai
Jaise gir prde ho baadal mujh par
Ek aanch dil pe aa jati hai

Jab aankhen band hoti hain
Bas tu sath hoti hai
Teri yaadon ke takiye pe
Bas raat meri soti hai

Tu kyu door hai yun mujhse
Tujhe chahta hu poore dil se
Sun le meri aarzoo
Tu hi meri jaan hai
Tu hi mera jahaan hai
Tu hi hai sab kuch mera
Adhoora tere bin dil ye mera
Tu kyu samajhti nahi
Ye dil hai sirf tera

Haan ho gayi galti mujhse main jaanta hoon
Par ab bhi tujhe main apni jaan maanta hoon
Jaan maanta hoon...
Ek aakhiri mauka de mujhe
Aaj bhi main tujhe apni shaan maanta hoon
Shaan manta hoon...



Credits
Writer(s): Biddu, Shyam Anuragi, Alisha Chinai
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link