Ghar Aaja Pardesi

Ho, koyal kooke, hook uthaye
Yaadon ki bandook chalaye

Koyal kooke, hook uthaye, yaadon ki bandook chalaye
Baaghon mein jhoolon ke mausam waapas aaye re

Ghar aaja, pardesi, tera des bulaaye re
Ghar aaja, pardesi, tera des bulaaye re
Ho, baaghon mein jhoolon ke mausam waapas aaye re
Ghar aaja, pardesi, tera des bulaaye re
Ghar aaja, pardesi, tera des bulaaye re
Ghar aaja, pardesi, tera des bulaaye re

Iss gaaon ki anpadh mitti padh nahi sakti teri chitthi
Yeh mitti tu aakar choome toh iss dharti ka dil jhoome

Maana tere hain kuch sapne, par hum toh hain tere apne
Bhoolne waale, humko teri yaad sataaye re

Ghar aaja, pardesi, tera des bulaaye re
Ghar aaja, pardesi, tera des bulaaye re
Ghar aaja, pardesi, tera des bulaaye re

Panghat pe aayi mutiyarein, chham-chham paani ki jhankarein
Kheton mein lehraayi sarson, kal-parson mein beete barson

Aaj hi aaja gaata-hasta, tera rasta dekhe rasta
Arey, chhuk-chhuk gaadi ki seeti aawaaz lagaye re

Ghar aaja, pardesi, tera des bulaaye re
Ghar aaja, pardesi, tera des bulaaye re
Ghar aaja, pardesi, tera des bulaaye re

Haathon mein pooja ki thaali
Aayi raat suhaagon waali
Ho, chaand ko dekhun, haath main jodun
Karwa Chauth ka vrat main todun

Tere haath se peekar paani daasi se ban jaaun raani
Aaj ki raat jo maange koi woh paa jaaye re

Ghar aaja, pardesi, tera des bulaaye re
Ghar aaja, pardesi, tera des bulaaye re
Ghar aaja, pardesi, tera des bulaaye re

Oh, mann-mittra, oh, mann-meeta
Ve tainu Rabb de hawaale keeta

Duniya ke dastoor hain kaise, paagal dil majboor hain kaise
Ab kya sunna, ab kya kehna, tere-mere beech yeh raina

Khatm hui yeh aankh-micholi, kal jaayegi meri doli
Meri doli meri arthi na ban jaaye re

Ghar aaja, pardesi, tera des bulaaye re
Ghar aaja, pardesi, tera des bulaaye re

Koyal kooke, hook uthaye, yaadon ki bandook chalaye
Baaghon mein jhoolon ke mausam waapas aaye re

Oh, maahi ve, oh, chann ve
Ve jindva, oh, sajna



Credits
Writer(s): Anand Bakshi, Jatin Lalit
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link