Yeh Dil Pagal Dil Mera
Ye dil ye paagal dil mera, kyun bujh gayaa awaargi
is dasht mein ek sheher tha, woh kya hua aawaargi.
Kal shab mujhe beshakl ki awaaz ne chaunka diya,
Main ne kaha tu kaun hai, usne kaha aawaargi.
Ik tuu ki sadiyon se mere, hamraah bhi hamraaz bhi,
Ik main ki tere naam se naa aashnaa aawaargi.
Ek ajnabi jhaunke ne jab poocha mere gham ka sabab
sehera ki bheegi ret per, maine likha aawaargi.
Ye dard ki tanhaiyaan, ye dasht kaa viraan safar
hum log to ukta gaye apni suna, aawaargi.
Logon bhala us sheher mein kaise jiyenge hum jahaan
ho jurm tanhaa sochnaa, lekin sazaa aawaargi.
Kal raat tanha chaand ko dekha tha maine khwaab mein
"Mohsin" mujhe raas aayegii shaayad sada aawaargi.

Credits
Writer(s): Ghulam Ali
Lyrics powered by www.musixmatch.com
Link
Other Album Tracks
- Chupke Chupke Raat Din
- Yeh Dil Pagal Dil Mera
- Yeh Baatein Jhoothi Baatein Hain
- Main Nazar Se Pee Raha Hun
- Patta Patta Boota Boota
- Zehal-E-Maskeen
- Koi Humnafas Nahin
- Humko Kisike Gham Ne Maara
- Dil Mein Ek Leher Si Uthi
- Faasle Aise Bhi Honge
All Album Tracks: 50 Greatest Ghazals - Songs of Love and Longing >
© 2024 All rights reserved. Rockol.com S.r.l. Website image policy
Rockol
- Rockol only uses images and photos made available for promotional purposes (“for press use”) by record companies, artist managements and p.r. agencies.
- Said images are used to exert a right to report and a finality of the criticism, in a degraded mode compliant to copyright laws, and exclusively inclosed in our own informative content.
- Only non-exclusive images addressed to newspaper use and, in general, copyright-free are accepted.
- Live photos are published when licensed by photographers whose copyright is quoted.
- Rockol is available to pay the right holder a fair fee should a published image’s author be unknown at the time of publishing.
Feedback
Please immediately report the presence of images possibly not compliant with the above cases so as to quickly verify an improper use: where confirmed, we would immediately proceed to their removal.