Uski Hasrat Hai Jise Dil Se Mita

Mizajan ghazal tanhaai-pasand hai, lekin aisi tanha bhi nahi
Isey bhi jodon mein chalne ki aadat ho gayi
Ghazal gaane waale kayi jode iss daur mein daakhil hue
Aur ghazal duet ki shakal mein namodaar hui
Do aawaazein ghazal ke chehre par do aankhon ki tarah khil uthi
Kahin do lab the, kahin do aankhein
Kahin Bhupinder-Mitalee, aur kahin ofcourse, Jagjit-Chitra

Uski hasrat hai, jise dil se mita bhi na sakun

Dhoondhne usko chala hoon jise paa bhi na sakun
Uski hasrat hai, jise dil se mita bhi na sakun

Meherbaan hoke bula lo, mujhe chaaho jis waqt

Main gaya waqt nahi hoon ki phir aa bhi na sakun

Daal kar khaaq mere khoon pe qaatil ne kaha
Kuch yeh mehendi nahi meri ki chhupa bhi na sakun
Uski hasrat hai, jise dil se mita bhi na sakun

Zof mein taana-e-aghyaar ka shikva kya hai?

Baat kuch sar toh nahi hai ki utha bhi na sakun
Main gaya waqt nahi hoon ki phir aa bhi na sakun
Meherbaan hoke bula lo, mujhe chaaho jis waqt

Zabt kambakht ne aur aa ke gala ghota hai
Ki use haal suaaun toh suna bhi na sakun
Uski hasrat hai, jise dil se mita bhi na sakun

Zeher milta hi nahi mujhko sitamgar warna

Kya qasam hai tere milne ki, ki kha bhi na sakun?
Kya qasam hai tere milne ki, ki kha bhi na sakun?
Meherbaan hoke bula lo, mujhe chaaho jis waqt

Uske pehlu mein jo le ja ke sula doon dil ko
Neend aisi use aaye ki jaga bhi na sakun
Uski hasrat hai, jise dil se mita bhi na sakun

Main gaya waqt nahi hoon ki phir aa bhi na sakun
Uski hasrat hai, jise dil se mita bhi na sakun

Credits
Writer(s): Mirza Ghalib, Ameer Meenai, Jagjit Singh
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link