Patthar Ke Khuda Patthar Ke Sanam

Patthar ke Khuda, patthar ke sanam
Patthar ke hi insaan paaye hain
Patthar ke Khuda, patthar ke sanam
Patthar ke hi insaan paaye hain

Tum sheher-e-mohabbat kehte ho
Tum sheher-e-mohabbat kehte ho
Hum jaan bacha kar aaye hain
Patthar ke Khuda, patthar ke sanam
Patthar ke hi insaan paaye hain

But-khana samajhte ho jisko
Poochho na, wahaan kya haalat hai
But-khana samajhte ho jisko
Poochho na, wahaan kya haalat hai

Hum log wahin se laute hain
Bas shukr karo, laut aaye hain
Tum sheher-e-mohabbat kehte ho
Tum sheher-e-mohabbat kehte ho
Hum jaan bacha kar aaye hain
Patthar ke Khuda, patthar ke sanam
Patthar ke hi insaan paaye hain

Hum soch rahe hain muddat se
"Ab umr guzaarein bhi toh kahaan?"
Hum soch rahe hain muddat se
"Ab umr guzaarein bhi toh kahaan?"

Sehra mein khushi ke phool nahin
Shehron mein ghamon ke saaye hain

Honthon pe tabassum halka sa
Aankhon mein nami si, ae Faakir
Honthon pe tabassum halka sa
Aankhon mein nami si, ae Faakir

Hum ahl-e-mohabbat par aksar
Aise bhi zamane aaye hain
Tum sheher-e-mohabbat kehte ho
Tum sheher-e-mohabbat kehte ho
Hum jaan bacha kar aaye hain
Patthar ke Khuda, patthar ke sanam
Patthar ke hi insaan paaye hain



Credits
Writer(s): Dhiman Jagjit Singh
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link