Dukh Sukh Ki

Dukh-sukh kee har ek maala kudarat hee piroti hai

O, dukh-sukh kee har ek maala kudarat hee piroti hai
Haathon kee lakiron mein ye jaagti-soti hai
Dukh-sukh kee har ek maala kudarat hee piroti hai

Yaadon ka safar ye kare guzari bahaaron mein kabhi
Aanae waale kal pe hanse, udate nazaaron mein kabhi

Ek haath mein andhiyaara, ek haath mein joti hai
Dukh-sukh kee har ek maala kudarat hee piroti hai

Saamana kare jo iskaa, kisi mein ye dam hai kahaan?
Iskaa khilonaa ban ke hum saba jeete hain yahaan

Jis raah se hum guzaren, ye saamane hotee hai
Dukh-sukh kee har ek maala kudarat hee piroti hai

Aahon ke janaaze dil mein, aankhon mein chitaayen gam kee
Neenden ban gayi tinkaa, chali vo hawaayen gam kee

Insaan ke andar bhee aandhi koyi hotee hai
Dukh-sukh kee har ek maala kudarat hee piroti hai

Khud ko chupaane waalon ka pal-pal peechha ye kare
Jahaan bhee ho, mitate nishaan, vaheen jaa ke paanv ye dhare

Phir dil ka har ek ghaav ashkon se ye dhoti hai
Dukh-sukh kee har ek maala kudarat hee piroti hai
Haathon kee lakiron mein ye jaagti-soti hai
Dukh-sukh kee har ek maala kudarat hee piroti hai



Credits
Writer(s): Qateel Shifai, Rahul Dev Burman
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link