Labbaik Labbaik

Labbaik Labbaik Allahu Labbaik
Barnaam o Siddiq e Jarrar ke Hum
Barnaam Usman o Karrar ke Hum
Tan Jaan Qurban karnay ki Khaatir

Uhad o Badar k shaheedon ki rah par
Karb o bala k saeedon ki rah par
Tukron mein bat kr bikharnay ki khaatir

Sadaqat Adaalaat Sakhawat Shujaat
Ukhuwwat Diyanat Amanat Siyasat
Nuqoosh e Sahaba Pe Chalnay ki Khaatir

Uthay Phir Shaitan Kaarindon k Shar se
Maghrib k Zalim Darindon k Shar Se
Ababeel ban k utar nay ki khaatir

Hussayn o Hasan k Piyaron ka Naara
Zarraar o Khalid k Beton ka Naara
Fitna Garon ko Kuchalnay ki Khaatir

Fojee Jawan mere Pak is Watan Ke
Larnay ko tayyar hain apnay man se
Kufur ko Tahay Taigh krnay ki Khaatir

Watan Deen Millat k Hum Paasbaan Hain
Na Hindi Hijazi Faqat Musalman Hain
Maidan Mein Kuch Kar Guzarnay Ki Khaatir

Mere Paak Pyaray watan ki jo Shaan hain
Bachay Hain Borhay ya phir Jawan hain
Haram k Taqaddus Pe Katnay ki Khaatir

Difaa e Safaa mein Difaa e Mina
Difaa e Madina Najaf Karbala
Lutwa k Tanman Ubharnay ki Khaatir

Adeem o Anas ka Tarana Yahee Hai
Ahle Wafaa ka Fasaana Yahee Hai
Shahaadat ki Hum Mout Marnay ki Khaatir.



Credits
Writer(s): Anas Younus
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link