Tasveer Hai Yeh Pyar Ki

Satya, ahimsa aur shanti se
Pyaar kee ek tasveer banee
Isi tirange ke neeche
Bharat kee taqadeer banee

Tasveer hai ye pyaar kee, tasveer naa becho
Tasveer hai ye pyaar kee, tasveer naa becho
Ai doston...
Ai doston, is desh kee taqadeer naa becho
Taqadeer naa becho

Tasveer hai ye pyaar kee, tasveer naa becho
Ai doston, is desh kee taqadeer naa becho
Taqadeer naa becho

Insaaniyat ke naam kee dete ho duhaee
Auron pe zulm dhaate tumhein shame naa aayi
Jo sabakaa bhalaa chaahe, yahaan pyaar vahee hai
Auron ka haq jo chin le, gaddaar vahee hai

Haivaaniyat ke naam kee jai bolne waalon
Ganga kee har lahar mein zahar gholne waalon
Ganga kee har lahar mein zahar gholne waalon

Nafrat ke haath zahar buja tir naa becho
Ai doston...
Ai doston, is desh kee taqadeer naa becho
Taqadeer naa becho

Bas ek hee dharti hai jahaan pyaar hai zindaa
Is pyaar ko bhee maar naa de koyi darinda
Hai koon bahaana to paseene mein bahaao
Ugti hai jahaan dhoop, vahaan pyaar ugaao

Hai jinke lahoo se abhee tak laal ye zameen
Un vir shaheedon ka khwaab ye to tha nahin
Un vir shaheedon ka khwaab ye to tha nahin

Unke haseen khwaab kee tabir naa becho
Ai doston...
Ai doston, is desh kee taqadeer naa becho
Taqadeer naa becho

Tasveer hai ye pyaar kee, tasveer naa becho
Ai doston, is desh kee taqadeer naa becho
Taqadeer naa becho

Taqadeer naa becho
Taqadeer naa becho
Taqadeer naa becho



Credits
Writer(s): Anjaan, Anandji V Shah, Kalyanji Virji Shah
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link