Koi Koi Aadmi Diwana Hota Hai

Koi-koi aadmi deewana hota hai
Koi-koi aadmi deewana hota hai
Mushkil iss nadaan ko samjhana hota hai
Koi-koi aadmi deewana hota hai

Dil ki bezubaaniyaan kuch aur hoti hain
Dil ki bezubaaniyaan kuch aur hoti hain
Aankhon mein kahaaniyaan kuch aur hoti hain

Honthon pe kuch aur hi afsana hota hai
Koi-koi aadmi deewana hota hai
Koi-koi aadmi deewana hota hai

Toofaan kya hota hai, saahil kis ko kehte hain
Toofaan kya hota hai, saahil kis ko kehte hain
Tanhaai kya hai aur mehfil kis ko kehte hain

Woh in saari baaton se begaana hota hai
Koi-koi aadmi deewana hota hai
Koi-koi aadmi deewana hota hai

Aise insaan ki qismat mein pyaar nahin hota
Aise insaan ki qismat mein pyaar nahin hota
Uske seene mein dil hi, dildaar, nahin hota

Toota sa ek sheeshe ka paimana hota hai
Koi-koi aadmi deewana hota hai
Koi-koi aadmi deewana hota hai



Credits
Writer(s): Anand Bakshi, Anandji V Shah, Kalyanji Virji Shah
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link