Purva Suhani Aai Re

Kahin naa aisi subah dekhi
Aa, jaise baalak ki muskaan
Ya fir door kahin dil mein
Aa, halki si murali ki taan

Gurubaani, Gurudware mein
To Masjid se uthati aazaan
Aatma aur Parmatma mile jahaan
Yaheen hai vo sthaan

(Dholi, dhol bajana)
(Taal se taal milana)
(Dholi dhola, dholi dhola)
(Dholi, dhol bajana)
(Ta-ta thaiya, tak-tak thaiya)
(Taal se taal milana)

Purva suhaani aayi re, purva
Purva suhaani aayi re, purva
Rituon ki raani aayi re, purva

Mere ruke nahi paanv
Naach uthaa saara gaanv
Preet pe javani chayi re, purva

Purva suhaani aayi re, purva

Mausam ka musafir khada raste mein
Ho, mausam ka musafir khada raste mein
Uske haathon sab kuch lutaa saste mein
Choti si umariya hai, lambi si dagariya re

Jeevan hai parchaai re, purva

Purva suhaani aayi re, purva

(Hoy, dholi, dhol bajana, bajana)
(Hoy, taal se taal milana, milana)

Kar le, kar bhi le pyaar ki puja
Kar le, kar bhi le pyaar ki puja
Pyaar ke rang pe chadhe naa rang dooja

Chaahe koyi sapna hai
Mere liye apna hai
Baat meri ban aayi re

Purva suhaani aayi re, purva

Ho, Meera si deewaani re naache mastaani
Meera si deewaani re naache mastaani
Honton pe hai sargam to aankhon mein paani
Ghunghru deewaane hue, rishte puraane hue

Geet mein kahaani gaai re, purva

Purva suhaani aayi re, purva

(Hoy, dholi, dhol bajana, bajana)
(Hoy, taal se taal milana, milana)
(Dholi, dhol bajana)
(Taal se taal milana)



Credits
Writer(s): Anand Santosh, Anandji V Shah, Kalyanji Virji Shah
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link