Tum Jo Bhi Ho Dil Aaj Do

Tum jo bhi ho, dil aaj do
Kal ye sama phir ho na ho

Hamein jo kehna tha, hamne keh diya
Kuch to, meri jaan, tum bhi kaho
Dil dhadkta hai, dar sa lagta hai
Main lut jaaun, kahin aisa na ho

Tum jo bhi ho, dil aaj do
Kal ye sama phir ho na ho, ho, ho, ho

Jaane tum kaisi-kaisi chaal chalogi
Jaane kitnon ka bura haal karogi
Jise chaahogi, use nihaal karogi
Tum jo bhi karogi, kamaal karogi

Tum jo bhi ho, dil aaj do
Kal ye sama phir ho na ho

Hamein jo kehna tha, hamne keh diya
Kuch to, meri jaan, tum bhi kaho
Dil dhadkta hai, dar sa lagta hai
Main lut jaaun, kahin aisa na ho

Tum jo bhi ho, dil aaj do
Kal ye sama phir ho na ho, ho, ho, ho

Chehra tumhara bada bhola-bhaala hai
Dilon pe sitam ye to dhaane waala hai
Kisi pe tumhara dil aane waala hai
Aaj koyi duniya se jaane waala hai

Tum jo bhi ho, dil aaj do
Kal ye sama phir ho na ho

Hamein jo kehna tha, hamne keh diya
Kuch to, meri jaan, tum bhi kaho
Dil dhadkta hai, dar sa lagta hai
Main lut jaaun, kahin aisa na ho

Tum jo bhi ho, dil aaj do
Kal ye sama phir ho na ho, ho, ho, ho

Ham to haseenon se hain kehte yehi
Husn ki umar to hai ghadi do ghadi
Maut ke saaye mein palti hai zindagi
Abhi hai ujaala to andhera hai abhi

Tum jo bhi ho, dil aaj do
Kal ye sama phir ho na ho

Hamein jo kehna tha, hamne keh diya
Kuch to, meri jaan, tum bhi kaho
Dil dhadkta hai, dar sa lagta hai
Main lut jaaun, kahin aisa na ho

Tum jo bhi ho, dil aaj do
Kal ye sama phir ho na ho, ho, ho, ho



Credits
Writer(s): Bappi Lahiri, Pant Ramesh
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link