Ek Tha Bachpan

Ek tha bachapan, ek tha bachapan
Ek tha bachapan, ek tha bachapan
Chhota sa, nanha sa bachapan
Ek tha bachapan

Bachapan ke ek babuji the
Achche-sachche babuji the
Donon ka sundar tha bandhan

Ek tha bachapan

Tahani par chadhake jab phool bulaate the
Haath unchake to tahani tak naa jaathe the
Bachapan ke nanhe do haath uthaakar
Vo phulon se haath milaate the

Ek tha bachapan, ek tha bachapan

Babuji bas gae bachapan kee baahon mein
Mutthi mein band hain vo sookhe phool abhee
Khushboo hai jeene kee chaaho mein

Ek tha bachapan, ek tha bachapan

Hontho par unki awaz bhee hai
Mere hontho par unki awaz bhee hai
Saanson mein saunpa bishwas bhee hai
Jaane kis mod pe kab mil jaayenge vo
Puuchhenge, bachapan ka ehasaas bhee hai

Ek tha bachapan, ek tha bachapan
Chhota sa, nanha sa bachapan
Ek tha bachapan



Credits
Writer(s): Gulzar, Vasant Shantaram Desai
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link