Aaj Purani Raahon Se

Aaj puraani raahon se koi mujhe aawaaz na de
Aaj puraani raahon se koi mujhe aawaaz na de
Dard mein doobe geet na de, gham ka sisakta saaz na de
Dard mein doobe geet na de, gham ka sisakta saaz na de

Beete dinon ki yaad thi jinmein
Main woh taraane bhool chuka
Aaj nayi manzil hai meri
Kal ke thikaane bhool chuka

Na woh dil, na sanam, na woh deen-dharam
Ab door hoon saare gunaahon se

Aaj puraani raahon se koi mujhe aawaaz na de

Toot chuke sab pyaar ke bandhan
Aaj koi zanjeer nahin
Sheesha-e-dil mein armaanon ki
Aaj koi tasveer nahin

Ab shaad hoon main, azaad hoon main
Kuch kaam nahin hai aahon se

Aaj puraani raahon se koi mujhe aawaaz na de
Dard mein doobe geet na de, gham ka sisakta saaz na de

Jeevan badla, duniya badli
Mann ko anokha gyaan mila
Aaj mujhe apne hi dil mein
Ek naya insaan mila

Pahuncha hoon wahaan, nahin door jahaan
Bhagwaan bhi meri nigaahon se

Aaj puraani raahon se koi mujhe aawaaz na de



Credits
Writer(s): Shakeel Badayuni, Naushad Ali
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link