Kaisi Haseen Raat

Kaisee haseen aaj bahaaron kee raat hai
Ek chaand aasamaan pe hai, ek mere saath hai
O, denevaale, tune to koyi kamee naa kee
Ab kisko kya milaa, ye muqadar kee baath hai

Chaaya hai husn-o-ishq pe ek rang-a/e-bekudi
Chaaya hai husn-o-ishq pe ek rang-a/e-bekudi
Aathe hain zindagi mein ye aalam kabhi-kabhi

Har gam ko bhool jaao, kushi kee baraat hai
Ek chaand aasamaan pe hai, ek mere saath hai

Aayi hai vo bahaar ki nagme ubal pade
Aisee kushi milee hai ki ansu nikal pade

Honton pe hain duaen, magar dil pe haath hai
Ab kisko kya milaa, ye muqadar kee baath hai

Masti simat ke pyaar ke gulshan mein aa gayi
Masti simat ke pyaar ke gulshan mein aa gayi
Meri khushii bhee aap ke daaman mein aa gayi

Bhanvaraa kalee se door nahin, saath-saath hai
Ab kisko kya milaa, ye muqadar kee baath hai
Kaisee haseen aaj bahaaron kee raat hai
Ek chaand aasamaan pe hai, ek mere saath hai



Credits
Writer(s): Shakeel Badayuni, Naushad
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link