Chal Mere Saath Hi Chal

chal mere saath hi chal ai meri jaan-e-ghazal
in samajon ke banaye huye bandhan se nikal, chal
ham vahaan jaayen jahaan pyaar pe pehre na lagen
dil ki daulat pe jahaan koi lutere na lagein
kab hai badla ye zamana, tu zamane ko badal, chal
pyar sachcha ho to rahein bhi nikal aati hain
bijliyan arsh se khud raasta dikhlati hain
tu bhi bijli ki tarah gham ke andheron se nikal, chal
apne milne pe jahaan koi bhi ungli na uthe
apni chahat pe jahaan koi dushman na hanse
chhed de pyar se tu saaz-e-mohabbat-e-ghazal, chal
pichhe mat dekh na shamil ho gunahgaron mein
samne dekh ki manzil hai teri taaron mein
baat banti hai agar dil mein irade hon atal, chal



Credits
Writer(s): Hasrat Jaipuri, Ahmed Hussain, Mohd. Hussain
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link