Prem Bhav Ke

Prem bhaav ke prabhu pujaari
Ban jao, mann, kevat Shabri
Prem bhaav ke prabhu pujaari
Ban jao, mann, kevat Shabri

Safal karo apna bhi jeewan
Safal karo apna bhi jeewan
Kevat Shabri ban jao, mann
Kevat Shabri ban jao, mann

Prem bhaav ke prabhu pujaari
Ban jao, mann, kevat Shabri

Prabhu-prem mein hui baawri
Shabri ne jab raah nihaari
Chal kar prabhu ji van mein aaye
Shabri se joothe fal khaye

Kiya safal uska bhi jeewan
Kiya safal uska bhi jeewan

Shabri ban jao, re mann
Shabri ban jao, re mann
Prem bhaav ke prabhu pujaari

Prabhu-prem ki patwar sahaare
Kheta kewat sabko kinaare
Prabhu ne karke naav sawari
Kewat naiya paar kara di

Kiya safal uska bhi jeewan
Kiya safal uska bhi jeewan

Kewat ban jao, re mann
Kewat ban jao, re mann
Prem bhaav ke prabhu pujaari

Rudra roop ko dhar kar Shiv ji
Ram bhakt kehlaate hain
Shiv poojan karte Ram ji
Rameshwar ishwar kehlaate hain

Re mann, sun ishwar kya kehte
Wo bhakton ke mann mein rehte
Safal karo apna bhi jeewan
Kevat Shabri ban jao, mann

Prem bhaav ke prabhu pujaari
Ban jao, mann, kevat Shabri
Safal karo apna bhi jeewan
Kevat Shabri ban jao, mann

Prem bhaav ke prabhu pujaari



Credits
Writer(s): Anand Chitnis, Binay Pathak
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link