Dooriyan Nazdikiyan Ban Gayi

Dooriyaan nazdeekiyaan ban gayi, ajab ittefaaq hai

Keh daali kitni baatein ankahi, ajab ittefaaq hai

Aise mili do nigaahein, milti hain jaise do raahein
Jaagi ye ulfat puraani, gaane lagi hain fizaayein
Ah-ah, aise mili do nigaahein, milti hain jaise do raahein
Jaagi ye ulfat puraani, gaane lagi hain fizaayein

Pyaar ki shehnaaiyaan baj gayi, ajab ittefaaq hain
Dooriyaan nazdeekiyaan ban gayi, ajab ittefaaq hai
Keh daali kitni baatein ankahi, ajab ittefaaq hai

Ek dagar pe mile hain hum-tum do humsaaye
Aisa laga, tumse mil kar din bachpan ke aaye
Ah-ah, ek dagar pe mile hain hum-tum do humsaaye
Aisa laga, tumse mil kar din bachpan ke aaye

Vaadiyaan ummeed ki saj gayi, ajab ittefaaq hai
Dooriyaan nazdeekiyaan ban gayi, ajab ittefaaq hai
Keh daali kitni baatein ankahi, ajab ittefaaq hai

Pehle kabhi ajnabi the, ab toh meri zindagi ho
Sapnon mein dekha tha jisko, saathi puraane tum hi ho
Oh-ho, pehle kabhi ajnabi the, ab toh meri zindagi ho
Sapnon mein dekha tha jisko, saathi puraane tum hi ho

Bastiyaan armaan ki bas gayi, ajab ittefaaq hai
Dooriyaan nazdeekiyaan ban gayi, ajab ittefaaq hai
Keh daali kitni baatein ankahi, ajab ittefaaq hai
Dooriyaan nazdeekiyaan ban gayi, ajab ittefaaq hai

Credits
Writer(s): Jaikshan Shankar, Jaipuri Hasrat
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link