Afreen Afreen

Husn-e-janaan ki taareef mumkin nahin
Afreen afreen, afreen afreen
Tu bhi dekhe agar to kahe hum-nasheen
Afreen afreen, afreen afreen

Husn-e-janaan ki taareef mumkin nahin
Afreen afreen, afreen afreen
Tu bhi dekhe agar to kahe hum-nasheen
Afreen afreen, afreen afreen
Husn-e-janaan ki taareef mumkin nahin
Husn-e-janaan ki taareef mumkin nahin

Aisa dekha nahin khoobsurat koi
Jism jaise Ajanta ki moorat koi
Jism jaise nigaahon pe jaadoo koi
Jism naghma koi, jism khushboo koi

Jism jaise machalti hui raagini
Jism jaise mehakti hui chaandni
Jism jaise ke khilta hua ek chaman
Jism jaise ke sooraj ki pehli kiran
Jism tarshaa hua dilkash-o-dil-nasheen
Sandalee sandalee, marmaree marmaree
Sandalee sandalee, marmaree marmaree

Afreen afreen afreen
Afreen afreen afreen
Afreen afreen

Husn-e-janaan ki taareef mumkin nahin
Husn-e-janaan ki taareef mumkin nahin

Chehra ek phool ki tarah shaadaab hai
Chehra uska hai ya koi mahtaab hai
Chehra jaise ghazal, chehra jaan-e-ghazal
Chehra jaise kali, chehra jaise kanwal

Chehra jaise tasavvur bhi, tasveer bhi
Chehra ek khwaab bhi, chehra taabeer bhi
Chehra koi Alif-Lailawi daastaan
Chehra ek pal yaqeen, chehra ek pal gumaan
Chehra jaise ke chehra kahin bhi nahi
Maahroo maahroo, mahjabeen mahjabeen
Maahroo maahroo, mahjabeen mahjabeen

Afreen afreen afreen
Afreen afreen afreen
Afreen afreen

Husn-e-janaan ki taareef mumkin nahin
Husn-e-janaan ki taareef mumkin nahin

Aankhein dekheen to main dekhta reh gaya
Jaam do aur donon hi do-aatishaan
Aankhein ya maikade ke yeh do baab hain
Aankhein unko kahoon ya kahoon khwaab hain

Aankhein neechi hueen to haya ban gayeen
Aankhein oonchi hueen to dua ban gayeen
Aankhein uth kar jhukeen to adaa ban gayeen
Aankhein jhuk kar utheen to qazaa ban gayeen
Aankhein jin mein hai qaid aasman-o-zameen
Nargiseen nargiseen, surmageen surmageen
Nargiseen nargiseen, surmageen surmageen

Afreen afreen afreen
Afreen afreen afreen
Afreen afreen

Husn-e-janaan ki taareef mumkin nahin
Husn-e-janaan ki taareef mumkin nahin

Zulf-e-janaan ki bhi lambi hai daastan
Zulf ki mere dil par hain parchhaaiyaan
Zulf jaise ke umdi hui ho ghata
Zulf jaise ke ho koi kaali balaa

Zulf uljhe to duniyaa pareshaan ho
Zulf suljhe to ye zeest aasaan ho
Zulf bikhre siyaah raat chhaane lage
Zulf lehraaye to raat gaane lage
Zulf zanjeer hai phir bhi kitni haseen
Reshmeen reshmeen, ambareen ambareen
Reshmeen reshmeen, ambareen ambareen

Afreen afreen afreen
Afreen afreen afreen
Afreen afreen

Husn-e-janaan ki taareef mumkin nahin
Afreen afreen, afreen afreen
Tu bhi dekhe agar to kahe hum-nasheen
Afreen afreen, afreen afreen
Husn-e-janaan ki taareef mumkin nahin
Husn-e-janaan ki taareef mumkin nahin



Credits
Writer(s): Traditional, Javed Akhtar, Nusrat Fateh Ali Khan
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link