Aaj Ki Raat

Aaj kee raat badi shokh, badi natkhat hai
Aaj to tere binaa neend nahin aaegee
Ab to tere hee yahaan aanae ka ye mausam hai
Ab tabeeyat naa khayaalon se bahal paaegi

Dekh vo chhat pe utar aayi hai saavan kee ghata
De rahee dwaar pe awaz khadee purvaai
Bijlee rah-rah ke pahaado pe chamak uthati hai
Suuni aankhon mein koyi khwaab le jyon angadae

Kaise samjhaoon...
Kaise samjhaoon ki is vakt ka matlab kya hai?
Dil kee hai baath
Ho, dil kee hai baath, naa honton se kahi jaaegee
Aaj kee raat...

Raat-raani kee ye bhini see nashili khushboo
Aa rahee hai ki jo chhan-chhan ke ghani daalon se
Aisa lagtaa hai, kisi dheeth jhakore se lipat
Khel aayi hai tere ulje hue baalon se

Aur bezaar...
Aur bezaar naa kar mere tadapate dil ko
Aisee rangeen...
Ho, aisee rangeen ghazal raat naa phir gaaegi
Aaj to tere binaa neend nahin aa...



Credits
Writer(s): Neeraj, Roshan
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link