Isko Bhi Apnata Chal Usko Bhi

Isko bhee apanaataa chal, usko bhee apanaataa chal
Raahee hain saba ek dagar ke, saba par pyaar lutaata chal
Isko bhee apanaataa chal...

Idhar kafan tak nahin laash par, udhar numaaish resham kee
Yahaan swayamvar kare chaandanee, vahaan naa raat kate gam kee
Dharti kankar-pathar maare, ambar ugale angaare
Koyi pooche baath naa is badhia mein dukhiya shabnam kee

Sukh kee umr badhaata chal, dukh ko kafan odhata chal
Milee jahaan bhee mahal, use kutiyaa ke paas bulaata chal
Isko bhee apanaataa chal...

Bika-biki saba aur/or machi hai aanae aur do aanon par
Asmat bike dorahon par to pyaar bike dookaanon par
Dagar-dagar par mandir-masjid, qadam-qadam par gurudware
Bhagavaanon kee basti mein hai zulm bahut insaanon par

Khidki har khulwaataa chal, saankal har katwataa chal
Is par bhee roshni naa ho to dil ka diya jalaata chal
Isko bhee apanaataa chal, usko bhee apanaataa chal
Raahee hain saba ek dagar ke, saba par pyaar lutaata chal
Isko bhee apanaataa chal...

Hriday-hriday ke beech khaaiyaan, lahoo bicha maidaanon mein
Ghum rahe hain yuddh sadak par, shanti chhipi shamshaanon mein
Zanjiren cat gayi, magar azaad nahin insaan abhee
Duniyaa-bhar kee khushii qaid hai chaandi jade makaanon mein

Tat-tat raas rachaata chal, panghat-panghat gaata chal
Pyaasaa hai har praan nayan ka, ganga jal chhalkaata chal
Isko bhee apanaataa chal...

Nayan-nayan tarase sapanon ko, aanchal tarase phulon ko
Aangan tarase tyoharon ko, galiyaan tarasein jhulon ko
Kisi honth par baje naa bansi, kisi haath mein been nahin
Umr samundar kee de daali kis ne chand bagulon ko

Soi kiran jagaata chal, ruthi subahen manaata chal
Pyaar naqaabon mein naa band ho, har ghunghat khulwaataa chal
Isko bhee apanaataa chal, usko bhee apanaataa chal



Credits
Writer(s): Neeraj, Roshan
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link