Nadiya Na Piye Kabhi Apna Jal

Nadiya naa pie kabhi apana jal
Vriksh naa khaaen kabhi apanae fal
Nadiya naa pie kabhi apana jal
Vriksh naa khaaen kabhi apanae fal

Apanae tan ka, man ka, dhan ka
Duujon ko den jo daan, hai vo sachcha insaan
Are, is dharti ka bhaghavaan hai

Nadiya naa pie kabhi apana jal
Vriksh naa khaaen kabhi apanae fal

Agar sa jis ka ang jaale aur duniyaa ko meethi suvaas den
Agar sa jis ka ang jaale aur duniyaa ko meethi suvaas den
Deepak sa uska jeevan hai, jo duujon ko apana prakaash den
Duujon ko apana prakaash den

Dharm hai jis ka bhagavat gita, aa
Dharm hai jis ka bhagavat gita
Seva hee veda-puraana, hai vo sachcha insaan
Are, is dharti ka bhaghavaan hai

Nadiya naa pie kabhi apana jal
Vriksh naa khaaen kabhi apanae fal

Chaahe koyi gun gaan kare, chaahe kare ninda koyi
Chaahe koyi gun gaan kare, chaahe kare ninda koyi
Phulon se koyi satkar kare ya kaante chubho jae koyi
Kaante chubho jae koyi

Maan aur apmaan hee donon, aa
Maan aur apmaan hee donon
Jiske liye saamaan, hai vo sachcha insaan
Are, is dharti ka bhaghavaan hai

Nadiya naa pie kabhi apana jal
Vriksh naa khaaen kabhi apanae fal

Apanae tan ka, man ka, dhan ka
Duujon ko den jo daan, hai vo sachcha insaan
Are, is dharti ka bhaghavaan hai

Nadiya naa pie kabhi apana jal
Vriksh naa khaaen kabhi apanae fal



Credits
Writer(s): Bharat Vyas, Pt. Shivram
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link