Agar Tum Saath Ho

Pal-bhar theher jaao, dil ye sambhal jaaye
Kaise tumhein roka karoon?
Meri taraf aata har gham phisal jaaye
Aankhon mein tumko bharoon
Bin bole baatein tumse karoon

'Gar tum saath ho
Agar tum saath ho

Behti rehti neher-nadiyaan si teri duniya mein
Meri duniya hai teri chaahaton mein
Main dhal jaati hoon teri aadaton mein
'Gar tum saath ho

Teri nazron mein hain tere sapne
Tere sapnon mein hai naraazi
Mujhe lagta hai ke baatein dil ki
Hoti lafzon ki dhokebaazi

Tum saath ho ya na ho, kya farq hai?
Bedard thi zindagi, bedard hai
Agar tum saath ho
Agar tum saath ho

Palkein jhapakte hi din ye nikal jaaye
Baithi-baithi bhaagi phiroon
Meri taraf aata har gham fisal jaaye
Aankhon mein tumko bharoon
Bin bole baatein tumse karoon

'Gar tum saath ho
Agar tum saath ho

Teri nazron mein hain tere sapne
Tere sapnon mein hai naraazi
Mujhe lagta hai ke baatein dil ki
Hoti lafzon ki dhokebaazi

Tum saath ho ya na ho, kya farq hai?
Bedard thi zindagi, bedard hai
Agar tum saath ho (dil ye sambhal jaaye)
Agar tum saath ho (har gham phisal jaaye)

Agar tum saath ho (din ye nikal jaaye)
Agar tum saath ho (har gham phisal jaaye)



Credits
Writer(s): A. R. Rahman, Irshad Kamil
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link