Haq Hai

Ghor andhera, kehta raha
Haar jaa.
Ek sitaara, mana nahi.
Na daraa

Roshni ki ik boond pe
Zinda raha woh
Zinda raha woh

Zindagi ki kuch doriyon ko
Jakde hue, kehta raha

Haq hai mujhe jalne ka
Haq hai mujhe jeene ka
Haq hai mera ambar pe
Leke rahunga haq mera
Leke rahunga haq mera
Kata hoon wada...

Mere lahu ka, katra abhi
Garam hai
Ek adhura, mera abhi
Karam hai.

Din mahine. Har saal ki
Ginta raha woh
Ginta raha woh
Hosle ki kuch teliyon
Ko pakde hue kehta raha .

Haq hai mujhe jalne ka
Haq hai mujhe jeene ka
Haq hai mera ambar pe
Leke rahunga haq mera
Leke rahunga haq mera
Kata hoon wada...

Main janta hoon
Mujhe aakhir ik na ik din marna hai
Par jab talak bhi jeeu
Woh jeena kaisa tay karna hai.
Mitti ki kaaya mein yuhi kahe irada

Haq hai mujhe jalne ka
Haq hai mujhe jeene ka
Haq hai mera ambar pe
Leke rahunga haq mera
Leke rahunga haq mera

Tu dekh lena...



Credits
Writer(s): Amitabh Bhattacharya, Clinton Cerejo
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link