Grahan

Khushi ke jalte suraj ko
Sukun ke ujle gumbaj ko
Buri nazron ka nigal gaya grahan

Assar tha uski sazish mein
Jo saiyyaron ki gardish mein
Zahar ki tarah thehar gaya grahan

Khushi ke jalte suraj ko
Sukun ke ujle gumbaj ko
Buri nazron ka nigal gaya grahan

Wo aafat hi kuchh aisi thi
Ke fitrat deemak jaisi thi
Jo til-til karke utar gaya grahan

Nazron ki aage dhundh hai
Sab darwaaze band hain
Jhoota lage har dilaasa
Haanf rahi awaaz hai
Parde ke peeche raaz hai
Hota nahin kyun khulaasa

Muskurahat sehmi hai
Gham ki gehma ghemi hai
Duayein saari nikli ke bewafa
Raat kat-ti karwat mein
Ansoo chhupa ke silwat mein
Subah ki kirnein bhi lagti hain khafa
Qayamat bhar ke daaman mein
Kisi ke ghar ke angan mein
Kehar ki tarah utar gaya grahan

Nazron ki aage dhundh hai
Sab darwaaze band hain
Jhoota lage har dilaasa
Haanf rahi awaaz hai
Parde ke peeche raaz hai
Hota nahin kyun khulaasa



Credits
Writer(s): Amitabh Bhattacharya, Clinton Cerejo
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link