Goonjte Alfaaz

Kyun teri zindagi
Ruki hui si lagti hain
Ek baar tu aankhein kholde zara
Teri hi hain yeh zameen, tera aasmaan

Pal yeh pal jo chalein jaate hain
Kyun tujhko tadpaatein hain
Mere yaara sunle zara
Kehti hain kya tujhse yeh khaamoshiyan

Teri hi hain yeh duniya
Khud ko bhula mat tu
Matlab tu dhoondta kyun
Khud me samaya hain tu

Kyun yeh madhoshi mein
Tu jee raha hain
Hain ghadi ke kaante tere aage
Jab tak tu na uthe, uthke bhaage

Kyun tere kadam yeh
Yun tham se gaye hain
Yu na muh modh le, aage badhta ja
Raasta roke koi, tu na ladkhadha

Teri hi hain yeh duniya
Khud ko bhula mat tu
Matlab tu dhoondta kyun
Khud me samaya hain tu

Sahara le tu apni panah se
Goonjenge alfaaz tere iss jahan mein
Chal ab saath tu mere yaara
Tujhko pukaare yeh jahan saara

Kyun teri yeh dhadhkan
Khaamosh ho jaati hain
Ek baar tu bhi iss junoon mein jhoom zara
Jaise baarish ki boondon ki mastiyaan

Teri hi hain yeh duniya
Khud ko bhula mat tu
Matlab tu dhoondta kyun
Khud me samaya hain tu

Dhal jaayegi yeh raat
Chhodna mat tu apna saath
Tu jeeya hain aur jeeyega
Kehti hain teri harr saans



Credits
Writer(s): Venugopal Shah
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link