Baadalon Ke Neeche

Yeh baadalon ke neeche main
Baitha sochta hun
Ki yeh aate kaha se hain
Jaate kaha pe hain

Mausam badaltein hai
Rang badaltein hai
Badal jaati hain zindagi

Baarish ki boondein
Aur patte jo jhadtein hain
Thamtein nahi jaise khushi

Yeh baadalon ke neeche main
Baitha sochta hun
Ki in lamhon ko rokun
Ya phir phisalne du

Yeh baadalon ke neeche main
Baitha sochta hun
Ki kya hain uss paar
Jo yeh chhupatein hain

Voh hasstein aur rotein
Jhagadtein sambhaltein
Aur baatein jo thi unkahi

Voh raaton mein jagkar
Unn raahon pe chaltein
Jo padh gayi hain ab sooni

Yeh baadalon ke neeche main
Baitha sochta hun
Ki kya hain uss paar
Jo yeh chhupatein hain

Uthkar ab inn baadalon ke peeche bhaagu main
Uthkar ab inn baadalon ke peeche bhaagu main
Uthkar ab inn baadalon ke peeche bhaagu main
Uthkar ab inn baadalon ke peeche bhaagu main



Credits
Writer(s): Venugopal Shah
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link