Do Hi Rastay Hain

Kuch youn meri kahani
Ap tak jo hai pehchani
Bus dou hi rastay hain
Aur bus dou hi rastay hain
Chahe jitnay dikhtay hain
Asal mein dou hi rastay hain

Jo hum ko jantay nahi
Pehchantay nahi woh hum pay hastay hain
Akay hum say lartay hain
Naray hum pay kastay hain
Hum tu sab say dartay hain
Aur yeh kesay banday hain
Yeh kehtay hain samjahy hain
Par yeh bilkul andhay hain
Aur yeh kesay aainge
Sath kya hi laayenge
Yeh toh saray langde hain

Bus gol gol ghoom
Sari raat jhoom
Yeh dil kay rastay hain
Bus gol gol ghoom
Sari raat jhoom
Yeh tanha kat te hain

Gillani ki ho cycle
Yaron apna micheal
Phir chahe ladle jo
Dil ki yeh savaari
Meray peechay fauji gaadi
Ab chaho patlo jo
Tum bhangi ho ya sangi
Burkay mein ho ya nangi
Meray dil mein ho tu ho
Tum gori ho ya kaali
Hindu ya bengali
Meray dil mein ho tu ho

Bus gol gol ghoom
Sari raat jhoom
Yeh dil kay rastay hain
Bus gol gol ghoom
Sari raat jhoom
Yeh tanha kat te hain

Virankn ki aankh mein
Khamoshi kay saans mein
Hum dou hi dikhtay hain
Dil kay iss bazar mein
Apnay lafzon kay jaal mein
Hum saste phanstay hain

Mein mehdi hon ya qaidi
Asim hon keh qasim
Gayab ho ya zahir
Andar hon ya bahir
Andha hon ya langda
Mein hon bhe ya nahi

Par yeh aisay rastay hain
Jab hum inpay chaltay hain
Darya dono miltay hain
Aur phir phool khiltay hain
Saathi saray miltay hain
Par yeh tanha kat te hain

Bus gol gol ghoom
Sari raat jhoom
Yeh dil kay rastay hain
Bus gol gol ghoom
Sari raat jhoom
Yeh tanha kat te hain



Credits
Writer(s): Mehdi Maloof
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link