Kaheen Main Khirki

Kahin mein khirkhi tu nahi
Ya phir sofa hon koe
Kahin mein table tu nahi
Ya phir moza hon koe
Han nangay asman pay mein
Tanha koe badal tu nahi
Kahin mein pagal tu nahi
Kahin mein pagal tu nahi
Kahin mein pagal tu nahi

Sehra kisi ki rait mein
Mein bhatka hua koe zarra tu nahi
Kahin mein tharra tu nahi

Aur kahon mein tumhain sirf yehi
Nahi nahi nahi
Kyun keh nahi mein khabi khabi sahi
Sahi sahi sahi
Aur sab lafzon kay peechay
Sab deewaron kay neechay
Bus wohi wohi wohi
Mujhay kuch yaad tu nahi
Kahin yeh khwab tu nahi
Kahin mein hon bhe ya nahi

Han taptay asmaan mein
Din mein koe chimkadar tu nahi
Kahin mein khaphar tu nahi
Ya phir papaar hon koe

Gili kisi deewar pay
Phisalti hui mein makri tu nahi
Kahin mein larki tu nahi
Aur kahon mein tumhain sirf yehi
Nahi nahi nahi
Kyun keh nahi mein khabi khabi sahi
Sahi sahi sahi
Aur sab lafzon kay peechay
Sab deewaron kay neechay
Bus wohi wohi wohi
Mujhay kuch yaad tu nahi
Kahin yeh khwab tu nahi
Kahin mein hon bhe ya nahi

Aur mein koe sofa tu nahi
Jo mein lagta hon sahi
Kisi konay mei kahin
Aur na mein moza hon koe
Jo mein rul jaon kahin
Kisi kay kadmon mein kahin
Han nangay asman pay mein
Tanha koe badaal tu nahi
Kahin mein pagal tu nahi



Credits
Writer(s): Mehdi Maloof
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link